Thursday 22 March 2012

Gazal Collections Fifteen


Dil ke jakhmo


Dil ke jakhmo ko aansuoo main baha lenge ham
Pochh un aansuoo ko yoon hi muskura lenge ham
Hame bhool bhi jaogi to koi bat nahi
Teri yadon se iss dil ko saja lenge ham


Dono jahan ki khushi mubarak ho tumhe
Ab to apne gam ki hi maja lenge ham
Janta hoon ek din aa hi jaoge isiliye
Tere intezar ki aadat laga lenge ham


Hamse Chhudana chaho daman chhuda lo beshak
Bekrar apne iss dil ko mana lenge ham
Mujhe malum hai teri har rat hogi raushan
Andhero se hi apne dil ko laga lenge ham.


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++


Ranjish hi sahi



Ranjish hi sahi dil ko dukhane ke liye aa
Aa fir se mujhe chhor jane ke liye aa
Kis kis ko batayenge judayi ka sab-ab hum
Tu mujhse khafa hai to jatane ke liye aa


Kuchh to mere didare mohababat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujhko manane ke liye aa
Mana ki mohababat ka chhupana hai mohababat
Chupke se kisi roz batane ke liye aa


Jaise tujhe aate hain na aane ke bahane
Aise hi kisi roj na jane ke liye aa.


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Teri bewafai ka…



Teri bewafai ka charcha sareaam kar doon
Fir bhi apna dil tere nam kar doon
Bewafa ke nam se na ho jaye mashhoor
Aaj ye iljam apne nam kar doon


Bewafa ka shila achha nahi hota
Dil todkar hasna ye bhi achha nahi hota
Dil ke har jakham ko hanske ab sahu
Tu bata iss duniya main teri kya nam doon


Sajaye maut se badtar ye saja hai pyar ki
Aaj iss saja ko apne nam kar doon
Kya mila hai tujhe dil todkar ‘Sanam’ ka
Dil ki har aah ko gumnam kar doon


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Main jise chahunga



Maine dekha hai tumhe jab se machalta dil hai
Kitna samjhaya na samjha ye kaisa dil hai
Tu to sota hai bade chain se shab bhar lekin
Lekin socha hai ye kis hal main mera dil hai


Kar diya maine tumhare hi hawale ab to
Chahe jis tarah rakho ab ye tumhara dil hai
Teri furkat main sanam hal bura hai mera
Mah-e-aab sa har waqt dharkta dil hai


Dekhna hai ki teri najre karam kab hogi
Sange dil tu hai to khuddar bhi mera dil hai
Meri bato ka bura aapne mana kyon sanam
Main jise chahunga dunga ye hamara dil hai…


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Ashako ki shiyahi se…



Ashako ki shiyahi se likha tha pyar khat ka
Shayad wahi karar tha uske didar ka
Wo bhoole bhatke pahunch gayi mere kabar par
Usko pata mila tha sirf mere majar ka


Dafan dil ko mere karar(chain) na mila
Uthkar kiya maine swagat apne yar ka
Rooh ki milan ka usko ehsas tha
Lekin wo mauka nahi tha rasme bahar ka


Bhawnaye ashako main chhalki thi hushn se
Shayad wahi kinara tha uske khumar ka
Char phool rakh gayi wo tahe dil se
Usko bhi intezar tha apne ‘Sanam’ ka.


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Bewafa ki doli



Tum apne mahal ki fikar karna
Garibo ka jhappar jalane se pahle
Aajmana apne pyar ko kasauti par
Kisi diwane se dil lagane se pahle


Yakin mano hath kanp (kampan) uthenge tumhare
Pyar bhare dil ko jalane se pahle
Chhalkenge aansu aankhon main hajar bar
Mohababat main rang lane se pahle


Chamak uthegi aasma main bhi bijliya
Bin badal barsat aane ke pahle
Toot jate hain khwab mohababat main aksar
Suna hai khwab sajnae se pahle


Yah mashum chehre bhi dete hain dhokha
Na samjhega koi chot khane se pahle
Sanam ki bhi uthegi maiyat (janaja) yaron
Bewafa ki doli sajan ke ghar jane se pahle.


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Apne khwabo ki…


Apne khwabo ki tabir ki khatir
Meri chhota sa sansar kyon ujar dala
Yad kar wo din ek isara par maine
Bhari mahfil main tujhe apni dulhan bana dala


Par thodi si gurbat ko dekh kar tum ne
Mujhe beijjat aur badnam kar dala
Maine hamesha tujhe pyar kiya hai
Par tune khun ke aansu rula dala


Tumhe rutha hua mahboob samjha tha main
Par tune mujh se bewafai kar kala.


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Ab meri jindgi hi



Duniya to meri viran ho gayi
Mohababat ek jhoothi kahani ho gayi
Karke jhoothi ijhare mohababat
Meri janeman to sayani ho gayi


Har pal unke khayalo main rahta
Yah pagal dil ki nadani ho gayi
Unhe dil se kabhi chaha tha hamne
Wah bat ab purani ho gayi


Tanhai main ham tadapte hain aaj bhi
Magar wo rakibo ki rani ho gayi
Yah jindgi ham kaise jiye ‘Dost’
Ab meri jindgi hi begani ho gayi…


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Pyar main dhokha khakar



Pyar main dhokha khakar hum badnam ho gaye
Har gali har chauk par mere charche aam ho gaye
Har baji ki tarah pyar ki baji bhi hara
Bagair chale hi mere kadam bekam ho gaye


Aanshu ke sath-sath mujhe itni to khushi mili
Ki akhbar ki surkhiyon main mere bhi nam ho gaye
Hushn walon ko to koi dosh hi nahi deta
Apne upar hi sare ilzam ho gaye


Gam iss bat ka raha ki un hatho ko mehdi hi mila
Aur ‘Avinash’ ke hatho main chhalkte jam ho gaye .


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++


Wohi Gardashain 



Wohi Gardashain Wohi Paich-O-Kham Tere Baad Bhi,
Wohi Houslay Mere Dum Ba Dum Tere Baad Bhi,


Tere Sath Thi Teri Jafa Mujhay Mo’atabar,
Tere Saaray Gham Mujhay Mohtaram Tere Baad Bhi,


Mere Sath He Meri Har Khushi Teri Muntazir,
Teri Muntazir Meri Chasham-E-Namm Tere Baad Bhi,


Tu Kisi K Qalab-O-Arzoo Mein Dhal Gaya,
Main Na Ho Saka Kabhi Khud Mein Zamm Tere Baad Bhi,


Mere Baad Kitnay He Roop Tu Ne Badal Liye,
Main Wohin Hoon Ab Teri Qasam Tere Baad Bhi …


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi…





Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi


Kyun usey Tuu ne bas ek Phool kaha hai Mere Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi


Tu jise itni Haseen cheez samajhta hai wo Phool
Sookh jaaye to Nigaahon ko bura lagta hai
Phool ka apna koi rang koi Roop nahi
Uske Jore mai saja ho to Bhala lagta hai
Mera Mehboob to har Waqt Naya hai Mere Dost


Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi


Mere Mehboob ke Jalwon ka nahi koi Jawaab
Dhoop sa rang hai aur khud hai wo Chha’aoon jesa
Uski Payal mai Barsaat ka Mausam Chhanke
Sar pe Resham ka Dupatta hai Ghata’aon jesa
Wo jahan bhar ke Haseeno se juda hai Mere Dost


Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi


Mere Mehboob ki Aankhen hain Do Gehri Jheelien
Jin mai khilte hain Mere waaste Chahat ke Kanwal
Unko dekhoon to Mujhe Shayari karni aa jaaye
Aur mai uske lye Gaaon Mohabbat ki Ghazal
Wo Mere Dil ke Dharakne ki sada hai Mere Dost


Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Mohabbaton mein agar koi rasm o raah nah ho



Mohabbaton mein agar koi rasm o raah nah ho
Sakoon tabaah nah ho, zindagi gunaah nah ho


Kutch aetedaal bhi laazim hai dill lagi key liey
Kissi sey pyaar agar ho to bepanaah nah ho


Iss ehtyaat sey mai terey saath chalta hon
Teri nigaah sey aagey meri nigaah nah ho


Mera wajood hai sachaaion ka aaina
Yeh aour baat keh mera koi gawaah nah ho


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Meri Zindagi To Firaaq Hai…



Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi
Wo Nigah-e-Shoq se Door hon, Rag-e-Jaan se laakh Qareen Sahi


Hamein Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahein Sahi
Hamein Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi


Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamein Intizaar Qabool hai
Wo Kabi mile, wo kahin mile, wo kabi Sahi, wo kahin Sahi


Na ho Un per jo Mera Bus nahi, k yeh Aashqi hai Hawas nahi
Mai Unhi ka tha, Mai Unhi ka hoon, wo Mere nahi to nahi Sahi


Jo ho Faisla wo sunaye, use Hashar per na Uthaye
Jo kareinge Aap Sitam wahan, wo abi sahi, wo yahin Sahi


Usey dekhne ki jo Loo lagi, to ‘NASEER’ dekh hi leinge Hum
Wo Hazar Aankh se Door ho, wo Hazar Parda-Nasheen Sahi


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Socha Nahi Acha Bura…



Socha nahi acha Bura, Dekha Suna kuch b nahi
Manga Khuda se her Waqt, Tere siwa Kuch b nahi


Dekha Tujhe Chaha tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe
Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata kuch b nahi


Jis per Hamari Aankh ne, Moti bichaye Raat bhar
Bheja wohi Kagaz usey, Hum ne likha Kuch b nahi


Aur Ek Shaam ki Dehleez per, Bethey rahe wo Dair tak
Aankhon se ki Batain boht, Munh se kaha kuch b nahi


Do-Chaar din ki Baat hai, Dil Khaak mai mil jaye ga
Aag per jab Kagaz rakha, Baqi bacha Kuch b nahi


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Apna Use Banana Gar…



Apna Use Banana Gar Mere Bas Me Hota
Lout Ata Lout Aana Gar Mere Bas Me Hota


Ankhon Me Unki Jata Surat Badal Badal Kar
Khawabon Me Aana Jana Gar Mere Bas Me Hota


Chahere Ko Muskrahat Se Mai Sajaye Rakhta Hoon
Aye Yaar Muskrana Gar Mere Bas Me Hota


Duniya Se Qatam Karke Rakh Deta Ranj O Gham Ko
Bazm-e-Tarab Sajana Gar Mere Bas Me Hota


Qadmon Me Unke Lakar Taare Bekhair Deta
Taaron Ko Tod Lana Gar Mere Bas Me Hota


Lata Na Naam Bhi Mai Us Bewafa Ka Lab Per
Shahezad Ko Bhulana Gar Mere Bas Me Hota…


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 


Gazal Collections Fourteen




Mujhe Zindagi Bhar Rulate Gaye…



Mujhe Zindagi Bhar Rulate Gaye Mere Dil Ko Jalaate Gaye,
Hum Kitne Unki Baato Me Aate Gaye.


Bulate The Tanhai Me Apne Matlab Ke Liye Hume,
Hum Kitne Naadan The Ki Unke Pass Jaate Gaye.


Roz Milne Ki Kasam Humko Dete The,
Hum Unki Har Zid Ko Seene Se Lagate Gaye.


Unki Aankho Ko Dekhe Tamanna Hamari Bhi Hoti Thi,
Hardam Bas Is Majboori Ka Fayda Wo Uthate Gaye.


Ab Kaise Kare Is Zamane Par Yakeen Hum doston,
Jo Apne Bahut Khaas The Wo Hi Rulate Gaye.


Ek Wo Bhi Daur Tha Ke Hamari Zara Si Aah Par Gamgeen Ho Jati Thi Wo,
Pata Nahi Ab Kyu Apni Har Wo Bhulate Gaye.


Barso Se Apna Maan Liya Tha Unko Humne,
Fir Beech Majdhar Me Humko Wo Bahate Gaye…


================================================= 



Har khushi Hai Logon Ke…



Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.


Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi…..


================================================= 



Sukhe Paton Ki Tarah Ek Din ….



Sukhe Paton Ki Tarah Ek Din Hum Bikhar Jayenge
Na Chahoge Phir Bhi Hum Tumhe Yaad Aayenge
Vaada Karte Hai Sanam Tumse Bichadne Ke Baad
Agar Tum Udas Rahoge Toh Hum Jee Na Peyenge..


Socha tha saath mill kar katainge zindagi ko
oss ne to ek pal main har baat bhula di thi
kaisa sitam hai deikho wo kab se judah hai muje se
jis ki zindagi apne sayae se bana di thi…


Kaash ye mukhtasar si mulakat hi naa hoti
gar na ashna hi rehtay,tu phir ye bat bhi na hoti
jo na dekhtay tum mujhko, yoon nazar bacha bacha kar
meri zindagi ab aisy, andhery raat bhi na hoti…


================================================= 



Aaj tak bandhi hai uske…



Aaj tak bandhi hai uske aane ki ummeed
aaj tak thehri hui hai zindagi apni jagah
laakh ye chaaha ki usko bhool jaun par doston,
Hausle apni jagah hai bebasi apni jagah…..


Sunaa dete jo haal-e-dil apna,
Daava hai un aankhon mein nami nahi aati,
Hota jo itna hi khyal unko mere dard ka,
To aaj hamein unki bewafai na sataati.


================================================= 



Kahin Qudrat Ka Ye Nizam….



Kahin Qudrat Ka Ye Nizam Hua Kare,
Tujhe Dekhne Ke Siva Na Mujhe Koi Kam Hua Kare,
Charcha Ho Saare Shehar Mein Tere Mere Pyar Ka,
Mujh Pe Teri Chahat Ka Ilzam Hua Kare..




Chehre ki hasi se har gam ko mitado..
bahut kam bolo par.. sab kuch bata do..
khud na rutho.. par sab ko manao..
ye raaz hai zindagi ka.. bas ji ke dikha do..


================================================= 



Dil udhaas hai bahut koyi paigaam….



Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do
Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do…


Bikhri hui zulfoon ko apni pehchan bana lo,
rakhna hai mujhe qaid to zanjeer bana lo,
kaagaz pe lakeerain to boht kheench li tumne,
ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo…


================================================= 



Aankhon Ko Ho Sakay To….



Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
Paiwastah Rah Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh
Gham Se Jo Hai T-Alluq Usay Ustwaar Rakh
Rakhna Hi Hai Agar To Dil-E-Sogwaar Rakh..


bhoole hain wo kuch is tarahan se hame.
Ab intezar karna hmara naseeb ho gaya hey
Na jane koi khata ho gai humse
Ya koi aur un k qareeb hogaya hey…


================================================= 



Kitni ajeeb judai thee ke tujhe….


Kitni ajeeb judai thee ke tujhe alwida bhe na keh saka
Teri sadgi mein itna fareb tha ke tujhe bewafa bhe na keh saka…


Saza dene wale Raza poochte hai
Jeene ki Humse Waja poochte hai
Dete hai khud hi Zehar akar
Phr kitna hua asar pooochte hai..


aisi kismat kahan humari
ki didar-e-yar ho jata
Agar main or jeeta to
wo bhi tera intzar ho jata..


================================================= 



Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana…



Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana ,
Na jaane kahan kho gaya vo zamana ,


Tumhen bhuulane ki mai koshish karunga ,
Ye vaada karo ke na tum yaad ana ,


Mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai ,
Tumhen bevafaa kah raha hai zamana ,


Khud meri qabr pe tum na aana ,
Tumhen dekh kar shaq karega zamana…


=================================================


Jaan kar bhi woh mujhe jaan na paiye….



Jaan kar bhi woh mujhe jaan na paiye ,
Aaj tak woh mujhe pehchan na paiye ,
Khud hi karli bewafai hum ne doston,
ta-keh un par koi ilzaam na aaye … …


Tujhe Mohabbat Sikhane Me Nakam Rhe Hum.
Jo Chalka Na Paymane Se Wo Jaam Rhe Hum.
Na Puch Kya Gujri Mere Dil Pr Aye Sanam.
Jb Wafa Nibha Kr Bhi Badnaam Rhe Hum …


================================================= 


Jaate jaate vo mujhe…..


Jaate jaate vo mujhe achchhi nishani de gaya
Umr bhar dohraunga aisi kahani de gaya
Uss se main kuchh pa saku aisi kahan ummeed thi
Gham bhi vo shaayad baraaye meharbani de gaya

Sab hawaye le gaya mere samandar ki koi
Aur mujhko ek kashti baadbaani de gaya
Khair main pyasa rahi, par usne itna to kiya
Meri palko ki qataro ko vo paani de gaya..

=================================================  

Jidhar dekho uski bewafaai ke…


Jidhar dekho uski bewafaai ke charche aam hote gaye
Kahin toh jaakar thamegi woh bewafa shehar badalte badalte…
Dil Nahi Chahta Mera Hansne Ko Israar Na Kar
Aansoo Bhi Toone Diye Chahe To Iqraar Na Kar

Ab To Dil Chahta Hai Din Raat Andhero Me Rahu
Roshni Jhoonth Ki Dekar Mujhe Bezaar Na Kar
Ujdhe Ujdhe Se Manzar Ko Kaha Tak Dekhu
Neend Aankho Mein Bhari Hai Mujhe Bedaar Na Kar

Kaun Baitha Hai Meri Raah Take Yaad Kare
Jaake Ab Kiss Se Kahu Mera Intezaar Na Kar
Saans Ka Boojh Uthaaoo Ya Usse Samjhaaoo
Zinda Rehne Ki Dua De Kar Sharam Sar Na Kar…..

=================================================  

Thukra ke usne mujhko..


Thukra ke usne mujhko,
kaha ki muskuraao!
Maine has diya,
aakhir sawal uski khushi ka tha.
Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
Usne khoya wo jo sirf usi ka tha.

aaj us ko bekhabar socha bohat
kese kaatein ge safar socha bohat
aaj kal hum us ko soochein ge nahi
aaj tanha beth ker socha bohat..

Aaj bahut din baad suni hai baarish ki awaaz
Aaj bohut din baad kisi manzar ne rasta roka hai
Rhim jhim ka malboos pehan kar yaad kissi ki aaee hai
Aaj bahut din baad achanak aankh yun he bhar aaee hai..


=================================================  

Gazal Collections Thirteen


Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Haal ….



Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Haal Hona Hai
K Ashq Rokna Tum Se Mohaal Hona Hai


Har Aik Lab Pe Hai Meri Wafa K Afsanay
Tere Sitaam Ko Abhi Mahsoor Hona Hai


Tumhain Khabar Hi Nahin Tum To Loot Jaoo Gey
Tumharay Yaad Main Ek Lamha Bhi Saal Hona Hai


Tujhe Jab Bhi Koi Gum Sataye Mere Sanam
Mujko Tere Pyaar Ki Dhaal Hona Hai


Kabhi To Roye Ga Woh Bhi Kisi Ki Bhahoon Main
Yaad Aaon Tab Bhi, Esha Mujhe Lajawab Hona Hai


Milayge Hum Ko Bhi Apne Naseeb Ki Khushiyaan
Bas Intizaar Hai Kab Yeh Kamaal Hona Hai


Har Shaks Chalayga Meri Rahon Per
Mohabatoon Main Humahin Woh Misaal Hona Hai


Yaqeen Hai Mujh Ko Woh Lout Aye Ga
Usay Bhi Apne Kiye Ka Malal Hona Hai……


******************************************


Mujh ko yaad hai ab bhi wo chaht ka zmana….


Mujh ko yaad hai ab bhi wo chaht ka zmana
wo tera dorty hue meri taraf chaly ana


wo mujh ko dekh kar tere hotoin per muskuraht ka jhilmilana
wo meri bahon mai aa kar tera mujh mai sama jana


wo bat bat mein mera rooth sa jana
wo itny piyar sey tera mujh ko mnana


wo raat raat bhar jaag ker mere sar ko dabana
wo piyar sey mujh ko janu bulana


wo tera mery ishq mai doob jana
wo tery haaton ki mehndi mai mery naam ka jhilmilana


kya tum ko yaad nahi chahat ka wo zamana
bahut muskil hoga mujh ko bhulana.


****************************************** 



Wo ek dost jo mujhko KHUDA sa lagta hai…



Wo ek dost jo mujhko KHUDA sa lagta hai
bahut kareeb hai phir bhi juda sa lagta hai


NaKhuda Saath hai phir bhi humen saahil na mila
Naseeb humara humsee khafa sa lagta hai


Saari khushiyaan hui haasil hume Zamane ki
phir bhi dil main to koi ghum chupa sa lagta hai
Woh Aik Dost Jo Mujko Khuda” sa lagta hai


koi jab do dilo ke darmian nahin doori
jism ka jism se kyon faslaa sa lagta hai


****************************************** 



Baat kam kiijiye, zahaanat ko…..



baat kam kiijiye, zahaanat ko chhupaate rahiye
ajnabi shahar hai yeh, dost banaate rahiye


dushmanii laakh sahii, khatm na kiijiye rishta
dil mile yaa na mile haath milaate rahiye


ye to chehre ka faqat aks hai tasviir nahiiN
is pe kuchh rang abhi aur chaDhaate rahiye


Gham hai aavaaraa akele meN bhaTak jaataa hai
jis jagah rahiye vahaaN milte milaate rahiye


jaane kab chaaNd bikhar jaaye ghane jangal meN
apne ghar ke dar-o-diivaar sajaate rahiye


****************************************** 



Wo siwa yaad aae bhulane k baad…



Wo siwa yaad aae bhulane k baad
Zindagi badh gai zeher khane k baad
Roshni k liye ghar jalana padha
aesi zulmat badhi tere jaane k baad


Muje yaqiin to nahi magar yehi such hai…
k main tere waste umrein guzaar sakta hoon…
aisa nahi ke tujhe jit ne ki khwahish hai…
me tere wasate khood ko bhi haar sakta hoon..


Din khuch ese guzarta hai koi
Jese ehsaan utarta hai koi
Aaina dekh kar tasalli hui
Humko is ghar mein jaanta hai koi


Pak gaya hai shajar pe phal shayad
Phir se patthar uchalta hai koi
Der se gunjtey hain sannatey
Jese hamko pukarta hai koi


****************************************** 



Ghum Ki Barish Ne Bhi Tere Naqsh……



Ghum Ki Barish Ne Bhi Tere Naqsh Ko Dhoya Nahin
Tu Ne Mujh Ko Khoo Diya, Meine Tujhe Khoya Nahin
Jaanta Hoon Ek Aisay Shakhs Ko Mein Bhi
Ghum Se Pathar Ho Gaya Lekin Kabhi Rooya Nahin…


Zakham Itne Gahre the Ki Ezhaar Kya Karthe
Hum Khudh He Nishana Ban Gaye Kisi Pe Waar Kya karthe,
Marne Ke Baad Bhi Khuli Rahi Aankhe,
Aab Tum he Batao Iss Se Zayada Intezar kya Karthe…


Bichda hai jo ek baar use milte nahi dekha,
Is jakhm ko humne kabhi silte nahi dekha,
Jis bhi chaman ne ki bahar ki khwaish,
Unme koi phool kabhi khilte nahi dekha,
Patjhad me un shakhon se patte juda huye,
Aandhiyo me bhi jinko kabhi hilte nahi dekha…


****************************************** 



Apne gamo ki yu numaish na kar….



Apne gamo ki yu numaish na kar,
Apne nasib ki yu aazmaish na kar,
Jo tera hai tere dar pe khud ayega,
Roz roz use pane ki khwaish na kar!


Har ik sawaal ka us ko jawaab kya deta,
Main apni zaat ka usko hisaab kya deta,
Jo aik lafz ki khushboo na rakh saka mehfooz,
Main us ke haath main poori kitaab kiya deta…


Aaj mera muskurane ka mann nahin tha
Kisi se itni mohabbat kar baitha iss ka koi gham nahin tha
Tere ishq mein khud ko kuch iss qadar bhula diya hum ne
Ki teri bewafaai ka dard bhi kuch kam nahin tha..


****************************************** 



Shaam din ko dalhna Sikha daiti……


Shaam din ko dalhna Sikha daiti hy
Shama Parwany ko jalna sikha daiti hy
Girny sy Choot tu lagti hy mager
Thokrain Insan ko Chalna sikha daiti hy..


Zindagi qed-e-musalsal ke siwa kuch bhi nahi
Kiya tha jurm- e -wafa is k siwa kuch bhi nahi
Jeene ki aarzoo me roz mar rahey hain
Daawa teri muhabbat ke siwa kuch bhi nahi


Har Dum Karoon Yaad Tujhe Duaon Main,
Tu Sada Khush Rahe Mohabbat Ki Chhaon Main,
Izzat Ho Teri Sab Ki Nigahon Main,
Koi Gham Na Mile Tujhe Zindagi Ki Rahon Main !!


****************************************** 

Ye umar dheerey dherey ab dhalne lagi hain…



ye umar dheerey dherey ab dhalne lagi hain…
gham ki andhiyaan bhi chalne lagi hain…


tu to naraaj hoke na jaane kahaan chala gaya …
intjaar mein khawahishein meri marne lagi hain…


pyaasa hai dil aaj bhi tu samjhta kyun nahi…
ke aaja abto ye baahein thakne lagi hain…


dekhe tujhe abto ek arsa beet gaya….
is nigaahon ki aarju or badhne lagi hain…


kar chuka hai qatal mujhe to tu kabka…
mere saath kitni maiyatein jalne lagi hain…


pata hai tujhe hai gumaan apne pyaar par…
abto tere bin meri raatein katne lagi hain..


ho chuki inteha ab to laut aa jaalim..
ke aaja abto meri saanse thamne lagi hain..


****************************************** 



Mohabbat har insan koAzmati hai…



Mohabbat har insan koAzmati hai,
Kisi se Ruth jati hai To kisi pe Muskurti hai
Mohabbat khel hi Aisa hai,
kisi ka kuch nhi jata or kisi ki Jaan Chali Jati hai..


Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon,
Teri hi Aankhon ka Jaam Tere Naam kardoon,


Main Doob jaoon Teri in Jheel si Gehri Aankhon mai,
Phir apni Barbadi ka ilzam Tere Naam kar doon,


Mai apni Rooh ko Tere Wajood mai bhardoon,
Phir apni Zaat apna her Payam Tere Naam kardoon..


Woh Poochta hi raha har falsafe ke mayne
Zindagiii bahut samajhdar hai,
Sab kuch loot liye us katil nigah ne,
Aastin uski abhi bhi be daag hai…


****************************************** 


Gazal Collection Twelve


Gham-E-Hayaat Ka Jhagra….

Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi
Chale Aoo Duniya Se Ja Raha Hai Koi


Azal Se Keh Do Ruk Jayee Do Ghari
Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi


Wo Is Naaz Se Bethe Hain Laash K Pass
Jese Ruthay Hoe Ko Mana Raha Hai Koi


Palat Kar Na Aa Jayen Phir Saans
Itnay Haseen Hathon Se Mayyat Saja Raha Hai Ko




+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++


Us ajnabi ka youn na intezaar karo…


Us ajnabi ka youn na intezaar karo
Is aashiq dil ka na aitbaar karo
Roz nikla karen kisi ke yaad mein aanso
Itna kabhi na kisi se pyaar karo…


Ab Zindagi Ka Koi Sahara Nahi Hai
Iss Jahan Mein Koi Hamara Nahi Hai
Chua Unka Daaman Toh Woh Haskar Bole
Yeh Mohabbat Ka Daaman Tumhara Nahi Hai..


Vaade Pe Woh Aitbaar Nahi Karte
Hum Zikr-E-Mohabbat Sare Bazaar Nahi Karte
Darta Hai Dil Unki Ruswai Se
Aur Woh Sochte Hai Hum Unse Pyaar Nahi Karte..


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Tum Karoge yaad ek din is pyar….


Tum Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
Chale jayenge jab hum kabhi na vaapas aane ko.
Karega mehfil me jab zikr hamara koi,,,,
To tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko…


Koi Dikha kar roye, koi chipa kar roye
Hame rulane wale hame rula kar roye
marne me maja to tab hai
Jab katil khud janaje par aakar roye..


Dosti ke liye deewane chale aate hai,
Shama ke piche parwane chale ate hain,
Tumhe yaad na aayi par aana meri maut par,
Us din to begane bhi chale aate hai.


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Hum to yun apni zindagi se mile….


Hum to yun apni zindagi se mile
Ajnabi jaise ajnabi se mile


Har wafa aik jurm ho goya
Dost kuch waise berukhi se mile


Phool hi phool hum ne mange the
Daag hi daag zindagi se mile


Hum to yun apni zindagi se mile
Ajnabi jaise ajnabi se mile..


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai…


Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila He


Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai


Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai


Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar mila hai


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Zindagi ki uljhano mein ulajhta raha…

Zindagi ki uljhano mein ulajhta raha
Bas uske pyar ke liye hardum tarasta raha


Jaanta tha woh shayad hi kabhi mujhe haasil hogi
Phir bhi jhute dilase se dil bahlata raha


Socha tha kabhi to waqt mere saath hoga
Par who bhi ret ki tarah mere haath se fisalta raha


Khuda ko ye bhi na manzor tha aankho mein kaid karoon uske aks ko
Isliye to har lamha paani ki tarah meri aankon se behta raha..


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Apni tanhai ka aalm tujh ko batau …


Apni tanhai ka aalm tujh ko batau kaise
apni barson ki tadap chupaon kaise


raha na jaye mujh tere bin ab
main apne dill ko samajhau kaise


najane kasi kashish hai tujh main
main apne jazbat ko rok pau kaise


najne kaisi aas hai tujh se
main apni umeedon ko rok pau kaise


bara dilnashi hai ahsas tera
main is ahsas se bahar aon kaise


pata nahi kaisa he ye diwanapan
main apni diwangi ko rok pau kaise


bare pyar se sajaya hai sapna ye apna
main apne in sapnoo ko tor pau kaise


main yahan tu wahan
main apne ap ko smbhal pau kaise..


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Yeh sach hai un se nigahain kabhi …


Yeh sach hai un se nigahain kabhi mila na sakay
hum un ki yaad ko lekin kabhi bhula na sakay


Woh khush naseeb sahi,tujh se jo qareeb hain
hum budnaseeb hain jo ghum se dur jaa na sakay


Chah ker chandni bhi us husn ko pohanch na sakee
nikhar ke phool bhi us ka shabaab laa na sakay


Qaid-e-ghum main bhi yeh aansu khushi ke qasid hain
jo un ke deedar ke doraan hum chuppa na sakay


Hazar Gardish-e-doraan ke saath khail chukkay
magar tumharee nazar ka mizaaj paa na sakay


jhijak jhijak ker nazar un ke dil tak aa pohanchii
yeh woh safar hai ke Hussaini jise bhula na sakay


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Gujaris khuda se


gujaris khuda se,,,,,
mere pyaar ko uska pyaar mile
main barbaad sahi,wo aabad mile
likh de mere hisse uske saare gam
par wo khushaal mile
agr gujre wo meri gali se kabhi to,
rosni ke liye jalta mera ghar mile…


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Yaadon Ke Dhund Me Teri ……


Yaadon Ke Dhund Me Teri Parchhayi Si Lagti Hai,
Sannate Me Gunjti Koi Shehnaayi Si Lagti Hai,
Tu Hai Dil Me To Apnapan Sa Lagta Hai,
Warna Seene Me Saanse Bhi Praayi Si Lagti Hai


Raat ki tanhai mein unko awaaz diya karte hain
Raat mein sitaaron se unka zikre kiya karte hain
Woh ayen ya na ayen humare khwabon mein
Hum toh bus unhi ka intezaar kiya karte hain


Jis per hamari aankh ne moti bichaaye raat bhar
Bhaija wohi kaaghaz usay, ham ne likha kuch bhi nahi
do chaar din ki baat hai dil khaak mai so jaaye ga
jab aag per kaaghaz rakha baaqi bacha kuch bhi nahi….


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



Dil ki mere beqarari mujhse kuchch…..


Dil ki mere beqarari mujhse kuchch puchcho nahi
Shab ki meri aah-o-zaari mujhse kuchh puchho nahi


Baar-e-Gham se mujhpe roz-e-hijr mein ik ik ghadi
Kya kahun hai kaisi bhaari mujhse kuchh puchcho nahi


Meri surat hi se bas maaloom kar lo ham-damon
Tum haqiqat meri saari mujhse kuchh puchho nahi


Shaam se taa-subah jo bistar pe tum bin raat ko
Maine ki akhtar-shumari mujhse kuchh puchho nahi


Ham-damon jo haal hai mera karunga gar bayaan
Hogi unki sharm-sari mujhse kuchch puchcho nahi


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++